kitabo ke panno ko palat ke sochta hoon,
yu palat jaye meri zindgi to kya baat hai,
khwabon me roj milti hai jo hakikat mein aye to kya bat hai,
kuch matlab ke liye dhundhte hai mujhko,
bin matlab jo aye to kya baat hai,
katal kar ke to sab le jayenge dil,
mera koi baton se le jaye to kya baat hai,
jo sharifon ki sharafat mein baat na ho,
ek sharabi keh jaye to kya baat hai,
apne rehne tak to khushi dunga sab ko,
jo kisi ko meri maut pe khushi mil jaye to kya baat hai.
No comments:
Post a Comment