Friday, August 12, 2011

Hamesha sahare ki jarurat kyu???



khushi gam aur hamara rishta janam janam ka,
kabhi khushi to gam ye to sab khel hai samay ka.
hai agar milti khushi ya gam insan ko,
ho jata hai utavala use kisi se batne ko.
apni baton ko bantata bhi hai to wo hota khas hai,
lagta use kuchh halka aur man ko milti halki hoti sans hai.
par hamne suna hai mithe me padti chitiyan hai,
isi tarah is pyari baton ke aadaan pradaan karne wali dosti bhi kab tak hai.
itna kuchh jante hai fir bhi jarurat kyu???
hame hamesha sahare ki jarurat kyu???

Monday, August 8, 2011

MAI KYA KARU SAMJH NAHI RAHA



Mehanat karna hai mujhe pasand bahut aur karna chahta hun mai,
par subah se sham ke baad thak sa jata hun mai.
Raat bitati hai nind me aur sapno me khokar,
sapne bhi kaise jisme sirf mai hi mai hota hun sabse badhkar.
subah hoti hai alarm ki ghanti sun kar,
fir kuchh samay bitata hi ankhe maslkar.
sochta hun kash sapno ki duniya me khoya rahta vahan to apna raaj hai,
par is hakikat ki duniya me to bas jiski pahchan hai usi ka raaj hai...
par kuchh rasta nahi chalna hai vahin himmat juta fir karta hun kaam,
ye sochkar ki aaj ka din to mera hoga aaj to milega kuchh naam.
par aafsos vahi hota hai jo roj hota aaya hai ,
kuchh nahi milta bus dant mil jati hai.
fir kya vahi ghar vapas aana,



khana khana fir sapno ki duniya me kho jana.
mai kya karun kuchh samajh nahi raha...
bus majburi samjho ya kuchh aur kaam karna hai to bus mai vahi kar raha..
par sach me kuchh samajh nahi raha...

Saturday, May 21, 2011

"Aaj dulhan k lal jode me use uski sakhiyon ne sajaya hoga...

"Aaj dulhan k lal jode me use uski sakhiyon ne sajaya hoga...
meri jaan ke gore hatho ko mehndi se sajana hoga..
bahut gehra chadha hoga mehndi ka rang...
us mehndi me usne mere naam chupaya hoga...
rah rah kar ro padi hogi jab jab usko khayal mera aaya hoga...
khudko dekh hoga jab aaine me to ask mera bhi nazar aaya hoga...
lag rahi hogi bahut hi sundar wo aaj dekhkar usko chand bhi sharmaya hoga...
aaj meri jaan ne apne maa baap ki ijjat ko bachaya hoga...
usne beti hone ka har farz nibhaya hoga...
mazbur hogi wo sabse jyada..
sochta hu kis tarah usne khud ko samjhaya hoga...
khud ko mazbut bana kar meri yadon ko mitaya hoga...
bhukhi hogi wo janta hu me mere bina usne kuchh na khaya hoga...
kaise sambhala hoga khud ko jab usne fero me khud ko jalaya hoga...
"Aaj dulhan k lal jode me use uski sakhiyon ne sajaya hoga...

Monday, May 16, 2011

Mujh se mera kya rishta hai...



Mujh se mera kya rishta hai
har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya
Ab to yeh bhi yaad nahee hai
farq tha kitna dono main
Us ki baatein yaad raheen aur us ka lehja bhool gaya
Pyasi dharti k hothon per mera naam nahee to kya Main woh [...]