Friday, October 22, 2010

Aaj na jane kyu rone ka man kiya???


Aaj na jane kyu rone ka man kiya,
Maa ke anchal me sir rakh kar sone ka man kiya.
Duniya ki bhag daud me kho chuke the rishtey sab,
Aaj kyun un sare rishton ko ek sire se sanjone ka man kiya.
Kisi din bhid me dekhi thi kisi ki ankhen,
Aaj phir un aankhon me khone ka man kiya.
Roj sapno se baatein karta tha mai,
Aaj na jane kyu unse muh modne ka man kiya.
Jhut bolta hu apne aap se roz mai aaj,


Na jane kyu khud se ek such bolne ka man kiya.
Dil todta hu sabka apni baton se mai,
Aaj na jane kyu ek tute hua dil jodne ka man kiya.
Na jane kyun aaj rone ka man kiya???